Find Urdu poetry & ghazals by famous Pakistani and Indian poets. You can easily text copy paste and read the famous Urdu shayari and best Poetry in Urdu in BEst Poetry World

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Hazrat Ali Quotes - HAZRAT IMAM ALI (A.S.) Quotes in Urdu images & SMS

What is Hazrat Ali Quotes

Throughout the company of Prophet Muhammad (P.B.U.H.), Imam Ali Ibn Abi Talib (R.A.) has provided the highest education. And you can imagine Hazrat Ali's character and the magnitude of it. Growing of Hazrat Ali's statements is exceptionally significant. Hazrat Ali Quotes motivates Muslims and not just the faithful of some generation.

The first of the Prophet's families (P.B.U.H.) to follow Islam was Hazrat Imam Ali of R.A. When he adopted Islam, he was just nine years old. It was a very young age. After migrating to Madinah, he was the cousin of Prophet P.B.U.H., who married Prophet Muhammad S.A.W.W.'s daughter.

There are several collections concerning Hazrat Ali's life events and quotes, particularly between the Shia Muslims.


Itnay Khushk Na Banao Kay Tor Diay


Farmaan Hazrat Ali Razi Allah Tala Anhu – Itnay Khushk Na Bano Kay Tor Diay Jao Aur Itnay Naram Na Bano Kay Nichoor Diay Jao..!

فرمان حضرت علیؓ – اتنے خشک نہ بنو کے توڑ دیے اور اتنے نرم نہ بنو کے نچوڑ دیے جاؤ

Koi Tum Se Bhalai Ki Umeed Rakhay To


Koi Tum Se Bhalai Ki Umeed Rakhay To Usay Mayoos Mat Karo Kyoun Kay Logon Ki Zaroriyaat Ka Tum Se Wa Basta Hona Tum Par Allah Ki Inayat Hai..! – (Hazrat Ali Alaihis Salam)

کوئی تم سے بھلائی کی امید رکھے تو اسے مایوس مت کرو کیونکہ لوگوں کی ضروریات کا تم سے وابستہ ہونا تم پر الله کی عنایت ہے – (حضرت علیؑ

Dil Ko Qaabo Main Rakhna Aur Ikhtiyaar Honay Kay BaWajood Najaiz Khawahishaat Par Amal Na Karna Yahi Asal Mardangi Hai..! – (Mola Ali A.S)

دل کو قابو میں رکھنا اور اختیار ہونے کے باوجود ناجائز خواہشات پر عمل نہ کرنا یہی اصل مردانگی ہے – (مولا علیؑ

Mujhay Tajub Hai Us Shakhs Pe Jo


Mola Ali A.S Ne Farmaya – Mujhay Tajub Hai Us Shakhs Pe Jo Apni Buraiyoun Ko Jaanta Hai Laykin Jab Usay Bura Kaha Jaey To Naraz Hojata Hai..!

مجھے تعجب ہے اس شخص پہ جو اپنی برائیوں کو جانتا ہے لیکن جب اسے برا کہا جاۓ تو ناراض ہوجاتا ہے – حضرت علیؑ

Tera Nafs Tujh Se Wahi Kam

Tera Nafs Tujh Se Wahi Kam Karwaiay Ga Jis Kay Saath Tonay Usay Masnoos Banaya Hai..!

تیرا نفس تجھ سے وہی کام کرواۓ گا جس کے ساتھ تونے اسے مانوس بنایا ہے – حضرت علیؓ

Jisay Taqdeer Par Yaqeen Hota Hai

Jisay Taqdeer Par Yaqeen Hota Hai Wo Apnay Oper Nazil Honay Wali Musibton Se Nahin Ghabrata..! – (Hazrat Ali R.A)

جسے تقدیر پر یقین ہوتا ہے وہ اپنے اپر نازل ہونے والی مصیبتوں سے نہیں گھبراتا – (حضرت علیؓ

Jo Insaan Kisi Kay Ehsaan Ka


Jo Insaan Kisi Kay Ehsaan Ka Shukar Guzaar Nahin Hai Wo Aainda Zaror Us Se Mehroom Ho Jata Hai..!

جو انسان کسی کے احسان کا شکر گزار نہیں ہے وہ آئندہ ضرور اس سے محروم ہو جاتا ہے

Rishton Ki Khobsorti Aik Dosray Ki Bat

Rishton Ki Khobsorti Aik Dosray Ki Baat Ko Bardasht Karnay Main Hai Bay Aaib Insaan Talash Karogay To Akailay Reh Jaogay..! – (Hazrat Ali R.A)

رشتوں کی خوبصورتی ایک دوسرے کی بات کو برداشت کرنے میں ہے بے عیب انسان تلاش کروگے تو اکیلے رہ جاؤ گے – (حضرت علیؓ

Mola Ali A.S Ne Farmaya – Jab Kisi Ko Kisi Se Rishta Khatam Karna Hoto Sab Se Pehlay Wo Apni Zubaan Ki Mithas Khatam Karta hai..!

جب کسی کو کسی سے رشتہ ختم کرنا ہوتو سب سے پہلے وہ اپنی زبان کی مٹھاس ختم کرتا ہے – (حضرت علیؑ

Hansi Mazak


Hansi Mazaq Dushmani Ki Ibtada Hai – (Hazrat Ali R.A)

ہنسی مذاق دشمنی کی ابتدا ہے



 Apnay Andar Parinday Ki Tarah Aajzi




Apnay Andar Parinday Ki Tarah Aajzi Paida Karo Jo Aasmaan Ki Bulindiyoun Ko Choo Kar Bhe Apni Gardan Jhuka Kar Rakhta Hai..! – (Imam Ali A.S)

اپنے اندر پرندے کی طرح عاجزی پیدا کرو جو آسمان کی بلندیوں کو چھو کر بھی اپنی گردن جھکا کر رکھتا ہے – (امام علیؑ

Hamesha Aaisay Shakhs Ko Chuna Karo




Hazrat Ali R.A Ne Farmaya – Hamesha Aaisay Shakhs Ko Chuna Karo Jo Aapko Izat Day Kyoun Kay Izat Muhabbat Se Kahin Ziada Khas Hoti Hai..!

حضرت علیؓ نے فرمایا – ہمیشہ ایسے شخص کو چنا کرو جو آپکو عزت دے کیونکہ عزت محبّت سے کہیں زیادہ خاص ہوتی ہے


 

Dosti Aur Muhabbat Un Se Karo Jo




Hazrat Ali A.S Farmatay Hain Kay : Dosti Aur Muhabbat Un Se Karo Jo Nibhana Jantay Hon Nafrat Un Se Karo Jo Bhulana Jantay Hon Aur Gussa Un Se Karo Jo Manana Jantay Hon..!

حضرت علیؑ فرماتے ہیں کے : دوستی اور محبّت ان سے کرو جو نبھانا جانتے ہوں نفرت ان سے کرو جو بھلانا جانتے ہوں اور غصہ ان سے کرو جو منانا جانتے ہوں

Jis Zubaan Se Jhoot Nikalna Band Hojaey




Jis Zubaan Se Jhoot Nikalna Band Hojaey Us Zubaan Se Nikli Howi Har Dua Qabool Hoti Hai – (Imam Ali A.S)

جس زبان سے جھوٹ نکلنا بند ہوجاے اس زبان سے نکلی ہوئی ہر دعا قبول ہوتی ہے (امام علیؑ

Sabr Dil Hilanay Wali




Sabr , Dil Hilanay Wali Musibton Ko Asaan Bana Daita Hai..! – (hazrat Imam Ali A.S)

صبر دل ہلانے والی مصیبتوں کو آسان بنا دیتا ہے (حضرت امام علیؑ


 

Mola Ali A.S Farmatay Hain




Dost Ka Imtihan Musibat Main Hota Hai


Biwi Ka Imtihan Gurbat Main


Momin Ka Imtihan Gussay Main


Zuban Ka Imtihan Mehfil Main


Dil Ka Imtihan Ishq Main


Haath Ka Imtihan Khaana Khanay Main


Aur Insaan Ka Imtihan Qabar Main Hota Hai..!


دوست کا امتحان مصیبت میں ہوتا ہے


بیوی کا امتحان غربت میں


مومن کا امتحان محفل میں


زبان کا امتحان محفل میں


دل کا امتحان عشق میں


ہاتھ کا امتحان کھانا کھانے میں


اور انسان کا امتحان قبر میں ہوتا ہے


(حضرت علیؑ)


Hamesha Apni Choti Choti Galtiyoun Se




Hamesha Apni Choti Choti Galtiyoun Se Bachnay Ki Koshish Karo Kyoun Kay Insaan Paharon Se Nahin Pathron Se Thokar Khaata Hai..! – (Hazrat Ali A.S)

ہمیشہ اپنی چوٹی چوٹی گلتیوں سے بچنے کی کوشش کرو کیونکہ انسان پہاڑوں سے نہیں پتھروں سے ٹھوکر کھاتا ہے (حضرت علیؑ

Sirf Paisay Ka Hoona Rizq Nahin Hai




Sirf Paisay Ka Hona Rizk Nahin Hai Naik Aulaad , Acha Ikhlaaq Aur Mukhlis Dost Bhe Rizq Main Shamil Hain..! – (Hazrat Ali R.A)

صرف پیسے کا ہونا رزق نہیں ہے نیک اولاد اچھا اخلاق اور مخلص دوست بھی رزق میں شامل ہیں (حضرت علیؓ


 

Tumharay Waldain Tmhain Bachpan Main




Hazrat Imam Ali A.S Farmatay Hain – Tumharay Waldain Tumhain Bachpan Main Shehzaadon Ki Tarah Paaltay Hain Lihaza Tumhara Farz Banta Hai Kay Unkay Burhapay Main Un Ko BaadShahon Ki Tarah Rakho..!

حضرت امام علیؑ فرماتے ہیں – تمھارے والدین تمہیں بچپن میں شہزادوں کی طرح پالتے ہیں لہذا تمہارا فرض بنتا ہے کہ انکے بڑھاپے میں انکو بادشاہوں کی طرح رکھو

Buray Insaan Ko Sohbat Se Parhaiz Karo




Buray Insaan Ki Sohbat Se Parhaiz Karo Kyoun Kay Wo Talvaar Ki Tarah Hai Daikhnay Main Khobsorat Aur Asar Main Khatar Naak..!

برے انسان کی صحبت سے پرہیز کرو کیونکہ وہ تلوار کی طرح ہے دیکھنے میں خوبصورت اور اثر میں خطر ناک


No comments:

Post a Comment

Bottom Ad [Post Page]